ek ne kaha gilas khali hai,dusre ne kaha,gilas adha bhara hai. pehle ne gilas ka upri adha hissa hi dekha.so use gilas ka khalipan ya khali hissa hi dikha.dusre ne gilas k nichle adhe bhag ko dekhaso, use pehle k vipreet gilas ka bharapan ya bharahissa hi dikha.
par kya gilas adha bhara he hai ya adha khali hai? kya upar gale tak labalab bhara hua patra he bhara hua hota hai?ya ki puri tarah se than than gopal hi khali patra ya khali hota hai? nahi adha khali or adha bhara dono hi baten sach hai. isliye dono hi admi sahi hai . gilas khali bhi h gilas bhara bhi hai.na galat pehle wala na galat bad wala.to sawal ye ki agar dono hi sahi hai to phir apni apni bat par itna agreh ya itni hath dharmikyu hai? kya adchan hai kya sachchayi hai dono ki bat me?darasal sawal nazariye ka hai
